।। श्री हनुमानजी की आरती ।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

।। जय श्रीराम ।।

।। श्री हनुमानजी की आरती ।।

।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमानजी की आरती , SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Anil Chudasama
श्री हनुमानजी की आरती ।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS :-  Aarti Hindu Upasana Ki Ek Vidhi Hai. Ismein Jalti Hui Lau Ya Iske Samaan Kuch Vishesh Vastu Se Aaradhay Ke Samane Ek Vishesh Vidhi Se Ghumayi Jati Hai. Ye Lau Ghee Ya Tel Ke Diye Ki Ho Sakti Hai Ya Kapoor Ki. Ismein Vaikalpik Roop Se, Ghee, Dhoop Aur Sugandhit Padarthon Ko Bhi Milaya Jata Hai. Iske Bina Pooja Adhoori Maani Jati Hai. Hindu Dharam Mein Agni Ko Shudh Mana Gaya Hai. Pooja Ke Ant Mein Jalti Hui Lau Ko Aaradhay Dev Ke Samane Ek Vishesh Vidhi Se Ghumaya Jata Hai. Kayi Baar Iske Sath Sangeet (Bhajan) Aur Narity Bhi Hota Hai. Mandiro Mein Ise Pratah, Sayn Evam Ratri (Shayan) Mein Dwar Ke Band Hone Se Pehle Kiya Jata Hai. Prachin Kaal Mein Yeh Vyapak Paimane Par Prayog Kiya Jata Tha.
Samanyatah Pooja Ke Ant Mein Aaradhay Bhagwan Ki Aarti Karte Hain. Aarti Mein Kayi Samagriyon Ka Prayog Kiya Jata Hai. In Sabka Vishesh Arth Hota Hai. Aisi Manyta Hai Ki Na Keval Aarti Karne, Balki Ismein Sammilit Hone Par Bhi Bahut Puny Milta Hai. Kisi Bhi Devta Ki Aarti Karte Samay Unhe Teen Baar Pushp Arpit Karne Chahiye. Is Beech Dhol, Nagade, Ghadiyal Aadi Bhi Bajaye Jate Hain. Yah Upasak Ke Haridy Mein Bhakti Deep Prajvalit Karne Aur Ishwar Ka Aashirwad Grahan Karne Ka Sulabh Madhyam Hai.
Mangalvar Ka Din Bhagwan Hanumanji Ka Mana Jata Hai. Hindu Dharam Mein Pawan Putra Anjani Nandan Shri Ram Bhakt Shri Hanumanji Maharaaj Jo Ki Bhagwan Shivji Ka Avatar Mane Jate Hai . Kaha Jata Hai Ki Bhagwan Shri Ram Ka Amar Vardaan Hain Hanumanji Ko Jinke Upar Inki Kripa Ho Jaye To Us Bhakt Ke Jeewan Ke Sabhi Sankaton Ka Naash Ho Jata Hain . Mangalvar Ke Hi Din Janame Atulit Bal Ke Dham Ki Koi Bhakt Mantra Jaap Karke Upasana Karta Hain To Koi Chalisa Padh Kar To Koi Unki Aarti Gaakar. Lekin Aap Apne Jeevan Mein Shatruo Se Mukti Chahate Hain To Bhakt Shiromani Maane Jaane Wale Hanumanji Ka Simran Karne Maatr Se Sabhi Darr Door Ho Jate Hain.
Is Din Hindu Dharam Ke Log Bajrang Bali Hanumanji Ki Vishesh Pooja Archana Karte Hain. Mandiro Mein Hanumanji Ke Darshan Karne Ke Liye Har Mangalvar Bhakto Ka Tanta Lag Jata Hai. Is Din Hanumanji Ki Murti Ko Sindoor Se Ranga Jata Hai. Sath He Mandiro Mein Boondi Ke Laddu Baante Jate Hain. Manyatao Ke Anusar Mangalvar Ke Din Hanumanji Ka Janam Hua Tha. Hanumanji Ki Pooja-Archana Mein Unki Aarti Ka Bada He Mahatv Bataya Gaya Hain . Aisa Mana Jata Hai Ki Is Din Inki Pooja Se Bhakto Ke Saare Kasht Door Ho Jate Hain Lekin Pooja Ke Samay Bhagwan Hanuman Ki Is Aarti Ko Karna Na Bhoole.

।। श्री हनुमानजी की आरती ।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमानजी की आरती , SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS

Image Source - Google | Image By - BAPS Houston Mandir

Aarti Keeje Hanuman Lala Ki।
Dusht Dalan Raghunath Kala ki।।

Jaake Bal Se Giravar Kaanpe 
Rog-Dosh Jaake Nikat Na Jhaanke।।

Anjani Putra Maha Baldaayi।
Santan Ke Prabhu Sada Sahaayi।।

De Beera Raghunaath Pathaye।
Lanka Jaari Siya Sudhi Laaye।।

।। श्री हनुमानजी की आरती ।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमानजी की आरती , SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - iAspire Media
Lanka So Kot Samudra Si khaayi।
Jaat Pawanasut Baar Na Layi।।

Lanka Jaari Asur Sanghaarey।
Siya-Ram Ji Ke Kaaj Sanwaarey।।

Lakshman Murchit  Parey Sakarey।
Laye Sanjeevan Pran Ubarey।।

Paithi Pataal Tori Jam Kaarey।
Ahiraavan Ki Bhuja Ukhaarey।।

Bayee Bhuja Asur Dal Maarey।
Dahini Bhuja Sant Jan Taarey।।

।। श्री हनुमानजी की आरती ।। SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमानजी की आरती , SHRI HANUMANJI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - iAspire Media
Sur Nar Muni Jan Aarti Utaarey।
Jai Jai Jai Hanuman Uchaarey।।

Kachann Thaal Kapoor Lo Chaayi।
Aarti Karat Anjani Maayee।।

Jo Hanumana Ji Ki Aarati Gaave।
Basahin Baikunth Param Pad Paave।।

Lank Vdhvans Kiye Raghurayi।
Tulasidaas Swami Kirti Gayi।।

Aarti Keeje Hanuman Lala Ki।
Dusht Dalan Raghunath Kala Ki।।

।। Iti Sampoornam ।।
_______________________

Related Post:



Post a Comment

0 Comments