।। श्री शनिदेव जी की आरती ।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

।।ॐ प्रां प्रीं प्रौं सः शनये नमः।।

।। श्री शनिदेव जी की आरती ।। 

।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शनिदेव जी की आरती , SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Suraj Belbase
श्री शनिदेव जी की आरती ।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS :- Kisi Bhi Devi Devta Ki Pooja Karne Ke Baad Unki Shradha Poorvak Aarti Jaroor Karni Chahiye. Sabhi Devon Ki Alag-Alag Aarti Hoti Hai Jise Bhagwan Ko Prasann Karne Ke Liye Gaya Jata hai. Aarti Hindu Dharm Ki Pooja Parampara Ka Ek Atyant Mahatvapoorn Karya Hai. Kisi Bhi Pooja Paath, Yagy, Anushthan Ke Ant Mein Devi-Devtaon Ki Aarti Ki Jati Hai. Aarti Ki Prakriya Mein, Ek Thaal Mein Deep Jyoti Aur Kuch Vishesh Vastue Rakhkar Bhagwan Ki Murti Ya Photo Ke Samane Shradha Bhav Poorvak Ghumaya Jata Hai.
Aarti Hamesha Kisi Pooja Upasana, Mantra Jaap, Prarthana Ya Bhajan Ke Baad He Ki Ja Sakti Hai. Hamesha Kisi Pooja Ya Prarthana Ki Samapti Par He Aarti Karna Shreshth Hota Hai. Aarti Ki Thaal Mein Kapoor Ya Ghee Ke Deepak Se Jyoti Prajjvalit Kar Aarti Ki Jati Hai. Agar Mandir Mein Deepak Se Aarti Karen To Yeh PanchMukhi Deepak Hona Chahiye.
Aarti Karte Samay Aarti Ki Thaal Ko Bhagwan Ki Murti Ya photo Ke Samane Om Ki Aakriti Banate Hue Ghumaye. Aarti Ko Bhagwan Ke Charano Mein Chaar(4) Baar, Nabhi Mein Do(2) Baar, Mukh Par Ek(1) Baar Aur Sampoorn Shareer Par Saat(7) Baar Ghumana Chahiye. Aarti Lete Samay Dono Haathon Ko Jyoti Ke Upar Ghumakar Netron(Eyes) Par Aur Sar(head) Ke Madhya Bhaag Par Lagayen Aur Apne Sar Ko Hamesha Dhak Kar Rakhe. Aarti Lene Ke Baad Kam Se Kam Paanch Minute Tak Jal Ka Sparsh Nahin Karna Chahiye. Aarti Ki Thaal Mein Dakshina Ya Akshat Jaroor Dalana Chahiye. Kaha Jata Hai Ki ShaniDev Ji Ki Aarti Aur Bhajano Ka Shradha Poorvak Gaayan Karne Se ShaniDev Vyakti Ki Har Tarah Ki Vipattiyon Se Raksha Karte Hain.
Grahon Mein ShaniDev Ko Sabse Kroor Grah Mana Jata Hai. ShaniDev Ka Prabhav Itna Vyapak Hai Ki Shanidev Ki Peeda Se Logo Mein Bhay Paida Ho Jata Hai. ShaniDev Agar Naraj Ho To Zindagi Mein Bhuchal Sa Aa Jata Hai Isliye ShaniDev Ko Prasann Karna Behad Jaruri Hai. ShaniDev Ko Prasann Karne Ke Liye ShaniDev Ji Ki Chalisa aur ShaniDev Ji Ki Aarti Karni Chahiye. Shanivar Ko Padne Wali Shani Amavasya Ke Din ShaniDev Ji Ki Aarti Ka Gaayan Karne Se Shani Maharaj Turant Prasann Ho Jate Hain Aur Mannchaha Vardaan Dete Hain.

।। श्री शनिदेव जी की आरती ।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शनिदेव जी की आरती , SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Sabyasachi.baldev

Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitkari।
Suraj Ke Putar Prabhu Chaya Mahtari।।
।। Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitakari ।।

Shyam Ang Vakr-Drishti Chaturbhuja  Dhari।
Nilambar Dhar Nath Gajj Ki Savari।।
।। Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitakari ।।

।। श्री शनिदेव जी की आरती ।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शनिदेव जी की आरती , SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS

Image Source - Google | Image By - SHANI DEV SEWA SAMITI JOURINA

Keet Mukut Sheesh Sahaj Dipat Hai Lilari।
Muktan Ki Mala Gale Shobhit Balihari।।
।। Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitakari ।।

Modak Aur Mishthan Chadhe, Chadhat Hai Paan Supari।
Loha Til Tel Udad Mahishi Hai Ati Pyari।।
।। Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitakari ।।

।। श्री शनिदेव जी की आरती ।। SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शनिदेव जी की आरती , SHRI SHANIDEV JI KI AARTI IN ENGLISH LYRICS
ImageSource - Google | Image By - Indian poet
Dev Danuj Rishi Muni Sumirat Nar Nari।
Vishvnath Dharat Dhyan Hum Hai Sharan Tumhari।।
।। Jai Jai Shri Shanidev Bhagatan Hitakari ।।


Post a Comment

0 Comments