।। श्री हनुमान चालीसा।। SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

।।जय श्रीराम।।

।। श्री हनुमान चालीसा ।। 

।।SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमान चालीसा , SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Anil Chudasama
।। श्री हनुमान चालीसा ।। SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS:- Hanuman Chalisa Mahan Sant Tulasidasji Dwara Rachit Ek Kavy Rachana Hai. Tulasidasji Ko Sant Valmikiji Ka Avatar Mana Jata Jai. Aisa Mana Jata Hai Ki Tulasidasji Ne Hanuman Chalisa Ki Rachna Haridwar Mein Kumbh Mele Mein Samadhi Ki Satithi Mein Ki Thi. Shabad "Chalisa" Hindi Shabad "Chalis" Se Liya Gaya Hai Jiska Arth Hai Chalis (40). Is Bhajan Mein 40 Chando Ka Pratinidhitv Karta Hai.
Hanuman Chalisa Shabad Ka Ek Adhbhut Arth hai. Hindu Dharm Mein, Bhagwan Hanuman Ko Veerta, Bhakti Aur Sahas Ka Pratik Mana Jata Hai. Bhagwan Hanuman, Jinhe Shiv Ka Rudra Avatar Mana Jata Hai . Unhe Bajrang Bali, Pawanputra, Marutinandan, Kesarinandan, Aadi Naamo Se Bhi Jana Jata Hai.
Mana Jata Hai Ki Bhagwan Hanuman Ji Kalyug Mein Bhi Jeevit Hain Aur Bahut Jaldi Prasann Hone Wale Dev Hain. Ram Bhakt Hanuman Ji Ko Sankat Mochan Bhi Kaha Jata Hai. Hanuman Ji Jeevan Ki Har Samasyao Ka Samadhan Karte Hain. Shastro Ke Anusar Jo Vyakti Niyamit Roop Se Hanuman Chalisa Ka Paath Karte Hai Unke Jeevan Mein Koi Pareshani Nahi Aati Hai Aur Hanumanji Ki Kripa Se Unke Sabhi Tarah Ke Kasht Kat Jate Hain.
Kaha Jata Hai Ki Mangalwar Aur Shaniwar Ko Hanumanji Ki pooja Ka Vishesh Mahatv Hai, Isliye Mangalwar Aur Shaniwar Ko Desh Ke Hanuman Mandiro Mein Bhaari Bheed Dekhi Ja Sakati Hai. 
Graho Aur Shani Aur Mangal Ke Peedit Logo Ko Sakraatmak Parinamo Ke Liye  Hanuman Chalisa Ka Paath Karna Chahiye.
Agar Apki Kundali Mein Mangal Dosh Hai Ya Mangalik Hain, To Iske Dush-Prabhav Door Karne Ke Liye Apko Hanuman Chalisa Ka Paath Karna Chahiye Kyonki Yeh Apke Mangal Grah Ko Majboot Banate Hai Aur Is se Apko Prasiddhi, Samriddhi, Shakti Aur Khushi Milati Hai.
Jo Log Saadi Sati Se Peedit Hain Ya Unki Kundali Mein Shani Ki Stithi Achi Nahi Hai, To Is Tarah Ke Dosho Ko Door Karane Ke Liye Hanuman Chalisa Ka Paath Karana Chahiye Kyonki Aisa Mana Jata Hai Ki Shanidev Bhagwan Hanuman Se Darte Hain.  Is Se Jeevan Mein Shanti Milti Hai. Saadi Sati Ke Prabhav Ko Kam Karane Aur Jeevan Mein Shanti Aur Samriddhi Ke Liye Shaniwar Ko Vishesh Roop Se Hanuman Chalisa Ka Jaap Karana Chahiye.
Bachpan Se Hume Sikhaya Jata Hai Ki Agar Aap Kisi Cheej Se Pareshan Ya dar Mehsoos Karate Hain, To Hanuman Chalisa Padhe. Aisa Karane Se Mann Shant Hota Hai, Darr Bhi Nahin Lagta Aur Kayi Samasyao Se Chhutkara Mil Jata Hai.
Hanuman Chalisa Ke Ek Shalok Mein Likha Gaya Hai,  
Bhoot Pishach Nikat Nahi Aave. Mahaveer Jab Naam Sunave.. 
Iska Arth Yeh Hai Ki - Koyi Bhi Buri Atma Us Vyakti Ko Prabhavit Nahi Kar Sakati Jo Bhagwan Hanuman Ka Naam Leta Hai. Aisa Mana Jata Hai Ki Yadi Aap Bure Sapano Se Pareshan Hain To Apko Apne Takiye Ke Neeche Hanuman Chalisa Rakhani Chahiye. Yeh Apko Bure Sapano Aur Bure Vicharo Se Chhutkara Paane Mein Madad Karata Hai. Jin Logo Ko Raat Mein Darr Lagta Hai Ya Darawane Vichar Ate Hain, Unhe Rojana Hanuman Chalisa Ka Paath Karana Chahiye.
Yadi Apka Mann Bechain Rehta Hai, Theek Se So Nahi Paate, Akele Sone Se Darr Lagta Hai, To Apko Niyamit Roop Se Hanuman Chalisa Ka Paath Karana Shuru Kar Dena Chahiye. Agar Apko Apne Ghar Mein Parivarik Kalah Ka Koi Samadhan Nahi Dikhata Hai To Hanumanji Ki Pooja Karen. Hanuman Chalisa Ka Paath Karane Se Apko Shakti Bhi Milegi Aur Kalah Bhi Samapt Honge .
Yatra Ke Dauran Ya Ghar Se Nikalane Se Pahle Hanuman Chalisa Ka Paath Karane Se Apki Yatra Achi Hogi. Yatra Ke Dauran Apne Sath Bhagwan Hanumanji Ki Ek Choti Murti Rakhe Aur Apne Vahan Mein Bhagwan Hanumanji Ki Murti Samane Ki Taraf Dashboard Par Rakhe Kyonki Yeh Mana Jata Hai Ki Bhagwan Hanuman  Durghatanao Ko Rok Sakte Hain Aur Apki Yarta  safal Rahti Hain.
Hanuman Chalisa Ka Paath Subah Aur Sham Dono Samay Kiya Ja Sakta Hai. Is Paath Ko Padhane Mein 10 Minute Se Jada Ka Samay Nahi Lagta Hai. Hanuman Chalisa Ka Paath Karane Ke Liye Koi Khaas Niyam Nahi Hai, Bas Vyakti Ko Swachata Ka Dhyan Rakhna Hota Hai. Subah Snaan Karane Ke Baad He Hanuman Chalisa Ka Paath Kare Aur  Sham Ko Hath - Pair Aur Chehra Dho Kar Hanuman Chalisa Ka Paath Kare.
Hanuman Chalisa Ka Paath Poori Shradha Aur Dhyan Se Jaap Ya Shravan Karane Se Apki  Sabhi Manokamanaye Poori hoti Hain. Hanuman Chalisa Ka Niyamit Paath Karane Se Hanumanji Jald He Prasann Ho Jate Hai Aur Apko Aashirwad Dete Hai Aur Mahan Shaktiyan Pradan Karte Hai.

।। श्री हनुमान चालीसा ।। SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

Shree Guru Charan Saroj Raj, 
Nijee Manu Mukuru Sudhaari।
Baranaun Raghubar Bimal Jasu, 
Jo Dayaku Phal Chaari।।

Buddhi-Heen Tanu Jaanike, 
Sumirau Pavan-Kumaar।
Bal Buddhi Vidya Dehu Mohi, 
Harahu Kalesh Bikaar।।

।। CHAUPAI ।।
Jai Hanuman Gyaan Gun Sagar।
Jai Kapees Tihun Lok Ujaagar ।।

Rama-Doot Atulit Bal Dhaama।
Anjani-Putra Pavanasut Naama।।

Mahabir Bikram bajarangi।
Kumati Nivaar Sumati Ke Sangi।।

Kanchan Varan Viraaj Subesa।
Kaanan Kundal Kunchit Kesa।।

Haath Vajra Aur Dhvaja Biraajai।
Kaandhe Moonj Janeyu Sajai।।

Shankar Suvan Kesari Nandan।
Tej Pratap Maha Jag Vandan।।

Vidya Vaan Guni Ati Chaatur।
Ram Kaaj Karibe Ko Aatur।।

Prabhu charitra Sunibe Ko Rasiya।
Ram Lakhan Seeta Mann Basiya।।

Suksham Roop Dhari Siyahi Dikhava
Vikat Roop Dhari Lank Jarava।।

Bheem Roop Dhari Asur Sanhare।
Ram Chander Ke Kaaj Sanware।।

।। श्री हनुमान चालीसा ।। SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमान चालीसा , SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - iAspire Media
Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye।
Shri Raghuvir Harashi Ur Laye।।

Raghupati Kinhi Bahut Badai।
Tum Mam Priye Bharat-Hi-Sam Bhai।।

Sahas Badan Tumharo Yash Gaave।
As-Kahi Shripati Kanth Lagaave।।

Sankadhik Brahmaadi Muneesa।
Narad-Sarad Sahit Aheesa।।

Jam Kuber Digpaal Jahan Te।
Kavi Kovid Kahi Sake Kahan Te।।

Tum Upkar Sugreevahin Keenha।
Ram Milaye Rajpad Deenha।।

Tumharo Mantra Vibheeshan Maana।
Lankeshwar Bhaye Sub Jag Jana।।

Jug Sahastra Jojan Par Bhanu।
Leelyo Tahi Madhur Phal Janu।।

Prabhu Mudrika Meli Mukh Mahee।
Jaladhi Langhi Gaye Achraj Nahee।।

Durgaam Kaj Jagat Ke Jete।
Sugam Anugraha Tumhre Tete।।

Ram-Dwaare Tum Rakhvare।
Hoat Na Agya Binu Paisare।।

Sub Sukh Lahae Tumhari Sarana।
Tum Rakshak Kahu Ko Darrana।।

Aapan Tej Samharo Aapai।
Teenhon Lok Hank Te Kanpai।।

Bhoot Pisaach Nikat Nahin Aavai।
Mahavir Jab Naam Sunavae।।

Nase Rog Harae Sab Peera।
Japat Nirantar Hanumant Beera।।

Sankat Se Hanuman Chudavae।
Mann Karam Vachan Dyan Jo Lavae।।

Sab Par Ram Tapasvee Raja।
Tin Ke Kaaj Sakal Tum Saja।।

Aur Manorath Jo Koi Lavae।
Sohi Amit Jeevan Phal Pavae।।

Charon Yug Pratap Tumhara।
Hai Prasidh Jagat Ujiyara।।

Sadhu Sant Ke Tum Rakhware।
Asur Nikandan Ram Dulare।।

Ashta-Sidhi Nav Nidhi Ke Daata।
As-Var Deen Janki Mata।।

।। श्री हनुमान चालीसा ।। SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री हनुमान चालीसा , SHRI HANUMAN CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - iAspire Media
Ram Rasayan Tumhare Pasa।
Sada Raho Raghupati Ke Dasa।।

Tumhare Bhajan Ram Ko Pavae।
Janam-Janam Ke Dukh Bisraavae।।

Anth-Aaal Raghuvar Pur Jayee।
Jahan Janam Hari-Bhakt Kahayee।।

Aur Devta Chit Na Dhareyee।
Hanumanth Seyi Sarve Sukh Kareyee।।

Sankat Katte-Mitte Sab Peera।
Jo Sumirye Hanumant Bal-Beera।।

Jai Jai Jai Hanuman Gosayin।
Kripa Karahu Gurudev Ki Naayi।।

Jo Shatt Baar Path Kare Kohi।
Chutihi Bandhi Maha Sukh Hohi।।

Jo Yeh Padhe Hanuman Chalisa।
Hoyi Siddhi Saakhi Gaureesa।।

Tulsidas Sada Hari Chera।
Kijiye Nath Hrideya Meh Dera।।

।। DOHA ।।
Pavan Tanaye Sankat Haran,
Mangal Murati Roop।
Ram Lakhan Sita Sahita,
Hrideya Basahu Sur Bhoop।।
_______________________

Related Post:



Post a Comment

0 Comments