।। श्री शिव चालीसा ।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

।।ॐ नमः शिवाय।।

।। श्री शिव चालीसा ।।

।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शिव चालीसा , SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Pixabay

श्री शिव चालीसा ।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS :-  Is Samast Vishav Aur Brahmand ko Banane Wale, Palane Wale Evam Sanhar Karane Wale Bhagwan Shiv Ki Mahima To Ved-Puraan Bhi Nahi Kar Sakate. Keval Bhagwan Shiv Hi Aise Dev Hain, Jinhe Insan Aur Danav Dono Ke  Esht Dev Mana Jata Hain. Bhagwan Shiv ki Stutiyon Mein Shiv Chalisa Shreshth Aur Kalyankari Mani Gayi Hai. Shri Shiv Chalisa Ka Paath Karane Ya Sunane Se Ghar Mein Sukh, Shanti, Dhan, Vaibhav, Bhakti Aur Prem Ki Vridhi Hoti Hai Aur Dukh, Daridrata Aur Kasht Door Hote Hai. Bhagwan Shiv Apne Bhakton Se Jald Prasann Ho Jate Hai. Bhagwan Shiv Ki Mann Se Ki Gayi Bhakti Se Aap Mann Chaaha Vardaan Pa Sakate Hai. Shivji Ke Isi Bhole Svabhav Ke Karan Un‍he Bholenath Bhi Kaha Jata Hai. Shiv Chalisa aka Paath Karane Se Bhagwan Shiv Apne Kisi Bhi Bhakt Se Asani Se Prasann Ho Jate Jain Aur Unhe Mann Chaaha Vardaan De Dete Hain.
Hindu Dharm Mein Bhagwan Ki Saral Bhasha Mein Ki Jane Wali Prarthana Ko Chalisa Kaha Jata Hai. Shiv Chalisa ka Paath Karane Se Kisi Ke Jeevan Mein Adbhut Prabhav Padata Hai. Lekin Kya Aap Janate Hain ki Ise Chalisa Kyon Kaha Jata Hai? Is Prarthana Ko Chalisa Isliye Kaha Jata Hai Kyonki Isme Chalis(40) Laine Hoti Hain. Saral Bhasha Mein Hone Ke Karan Ise Aasani Se Padha Ja Sakta Hai Aur Aasani Se Bhagwan Ko Prasann Karane Ka Ye Tarika Hindu Dharm Mein Bahut Lokpriya Mana Jata Hai.
Bhagwan Shi‍v Ki Pooja Aur Shiv Chalisa Ka Paath Karana Bahut He Shubh Aur Mangalkaari Mana Jata Hai. Mana Jata Hai Ki Somvar Ka Vrat Rakhane Se Ladakiyan Bhagwan Shiv Ki Tarah Manchaaha Var Pa Sakti Hain. Isliye Ladakiyan Acha Var Paane ke Liye Somvar Ke Din Vrat Aur Bhagwan Shiv Ki Pooja Karati hain. Kaha Jata Hai Ki Shivji Ki Aradhana Karane Se Mrityu Ka Bhay Bhi Nahin Satata Aur Shiv Chalisa Ka Path Karane Se Apki Heal‍th Bhi Achi Rahati Hain. Shiv Chalisa Se Bhagwan Shiv Ko Asani Se Prasann Kiya Ja Sakata Hai. Shiv Chalisa Ke Paath Se Kathin Se Kathin Kary Ko Bahut He Asani Se Kiya Ja Sakata Hai. Shiv Chalisa Padhane Se Na Keval Sharerik Balki Maansik Taur Par Bhi Bal Praapt Hota Hai Aur Shiv Chalisa Ke Niyamit Roop Se Paath Karane Se Kisi ke Jeevan Ki Sabhi Badhayen Aur Samasyayen Door Ho Jati Hai. Bhagwan Shiv Keval Bilav Patr Aur Jal Chadhane Se He Prasann Ho Jate Hai Aur Sabase Achi Baat Shiv Chalisa Ko Padhane Ke Liye Kisi Khaas Niyam Ki Jarurat Nahi Hoti Hai. Sirf Shradha, Svachchata Ka Dhyan Rakh Kar He Chalisa Ka Paath Kiya Ja Sakata Hai.
Shiv Chalisa Se Vyakti Ko Saare Dukhon Se Mukti Aur Apar Sukh Ki Praapti Hoti Hai. Shiv Chalisa Ka Jaap Sabhi Umar Ki Purushon Aur Mahilaon Dono Dvara Kiya Ja Sakta Hai. Yeh Chatron Aur Bachon Ke Liye Bhi Fayademand Hai. Shiv Chalisa Ka Paath Karane Ke Liye Sirf Apko Bhakti Aur Nishchit Roop Se Kuch Minute Ki Avashyakata Hoti Hai. Bhagwan Shiv Ke Aashirvad Prapt Karane Ke Liye Regular Shiv Chalisa Ka Jaap Karana Chahiye.

।। श्री शिव चालीसा ।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

Image Source - Google | Image By - शिव साहिल

।। DOHA ।।
Jai Ganesha Girija Suvan, Mangal Mool Sujaan।
Kahat Ayodhyadaas Tum, Dehu Abhay Vardaan।। 

।। CHAUPAI ।।
Jai Girijapati Deen Dayaala।
Sada Karat Santan Pratipaala।।

Bhaal Chandrama Sohat Neeke।
Kaanan Kundal Naagphani Ke।।

Ang Gaur Shir Gang Bahaye।
Mundmaal Tan Kshaar Lagaye।।

Vastra Khaal Baghambar Sohe।
Chhavi Ko Dekh Naag Munn Mohe।।

Maina Maatu Ki Have Dulari।
Baam Ang Sohat Chhavi Nyari।।

Kar Trishul Sohat Chhavi Bhaari।
Karat Sada Shatrun Shayakari।।

Nandi Ganesha Sohai Tahan Kaise।
Sagar Madhya Kamal Hai Jaise।। 

Kartik Sham Aur Ganrau।
Ya Chhavi Ko Kahi Jaat Na Kau।।

Devan Jabhi Jaay Pukara।
Tabhi Dukh Prabhu Aap Nivara।।

Kiya Upadrav Taarak Bhari।
Devan Sab Mili Tumhi Juhari।।

Turat Shadaanan Aap Pathaayu।
lavNimesh Mah Maari Girayu।।

Aap Jalandhar Asur Sanhaara।
Suyesh Tumhaar Vidit Sansaara।।

।। श्री शिव चालीसा ।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शिव चालीसा , SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By -  SinghIsKing123
Tripurasur San Yudh Machai।
Sabhi Kripa Kar Leen Bachai।।

Kiya Taphin bhaagirath Bhari।
Purab Pratigya Tasu Purari।।

Daanin Mahe Tum Sam Kou Naahin।
Sewak Stuti Karat Sadahi।।

Ved Mahi Mahima Tab Gaai।
Akath Anadi Bhed Nahi Paai।।

Prakati Udadhi Manthan Mein Jwaala।
Jare Surasur Bhaye Vihaala।।

Kinhee Daya Tahe kari sahai।
Neelakanth Tab Naam Kahai।।

Pujan Ramchandra Jab Kinha।
Jeet Ke Lank Vibhishan Dinha।।

Sahas Kamal Mein Ho Rahe Dhari।
kinhe Pariksha Tabhi Purari।।

Ek Kamal Prabhu Rakheyu Joyi।
Kamal Neyan Pujan Chah Soi।।

Kathin Bhakti Dekhi Prabhu Shankar।
Bhye Prasan Diye Ichchit Var।।

Jai Jai Jai Anant Avinashi।
Karat Kripa Sab Ke Ghatavaasi।। 

Dusht Sakal Nit Mohi Sataave।
Bhramat Rahau Mohi Chain Na Aavee।।

Trahi Trahi Main Nath Pukaaro।
Yehi Avasar Mohi Aan Ubaaro।।

Lei Trishul Shatrun Ko Maaro।
Sankat Se Mohi Aan Ubaaro।।

Maat-Pita Bhraata Sab Hoi।
Sankat Mein Puchat Nahi Koi।।

।। श्री शिव चालीसा ।। SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS ।।

श्री शिव चालीसा , SHRI SHIV CHALISA IN ENGLISH LYRICS
Image Source - Google | Image By - Rishikeshgoudstps
Swami Ek Hai Aas Tumhari।
Aaye Harhu Ab Sankat Bhari।।

Dhan Nirdhan Ko Det Sadahi।
Jo Koi Janche So Phal Pahi।।

Astuti Kehi Vidhi Karain Tumhari।
Kshamahu Nath Ab Chook Hamari।।

Shankar Ho Sankat Ke Nashan।
Mangal Kaaran Vigihn Vinashan।।

Yogi Yati Muni Dhyan Lagave।
Shaarad Naarad Sheesh Nivave।। 

Namo Namo Jai Namo Shivaye।
Sur Brahmadik Paar Na Paye।।

Jo Yah Paath Kare Mann Lai।
Ta Par Hot Hain Shambhu Sahai।।

Riniyan Jo Koi Ho Adhikari।
Paath Kare So Paavan Hari।।

Putra Heen Kar Ichcha Koi।
Nishchay Shiv Parsad Tehi Hoi।।

Pandit Trayodashi Ko Laave।
Dhyan Purvak Hom Karaave।।

Trayodashi Vrat Karai Hamesha।
Taake Tan Nahi Rahe Kalesha।।

Dhup Deep Naivedy Chadhaave।
Shankar Samukh Paath Sunaave।।

Janam Janam Ke Paap Nasaave।
Ant-Dhaam Shivapur Mein Paave।। 

Ayodhyadaas Aas Kahin Tumhari।
Jani Sakal Dukh Harhu Hamari।।

।।DOHA।।
Nitt Nem Uthi Praatahi, Path karo Chalisa।
Tum Meri Manokamana, Poorn Karo Jagdisha।।
 Maggsar Chathi Heement Ritu, Sanvat Chausath Jaan। 
Astuti Chalisa Shivahi, Pooran Keen Kalyan।।
_______________________



Post a Comment

0 Comments